Larzish-e-parda-e-izhaar Ka Matlab Kya Hai

larzish-e-parda-e-izhaar ka matlab kya hai

hai ye diwar to diwar ka matlab kya hai

jis ka inkar hatheli pe liye phirta hun

jaanta hi nahin inkar ka matlab kya hai

ek bar us ne agar de hi diya saf jawab

phir usi baat pe israr ka matlab kya hai

bechna kuchh nahin is ne to KHaridar hain kyun

aaKHir is garmi-e-bazar ka matlab kya hai

us ki rahon mein bikhar jae ye KHakistar-e-chashm

aur apne liye didar ka matlab kya hai

rabt baqi nahin alfaz o maani mein 'zafar'

kya kahen us se ki is pyar ka matlab kya hai

(1888) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Larzish-e-parda-e-izhaar Ka Matlab Kya Hai In English By Famous Poet Zafar Iqbal. Larzish-e-parda-e-izhaar Ka Matlab Kya Hai is written by Zafar Iqbal. Read famous Poem Larzish-e-parda-e-izhaar Ka Matlab Kya Hai for youth and Student by Zafar Iqbal. Free Download Larzish-e-parda-e-izhaar Ka Matlab Kya Hai in PDF.