Main Bhi Sharik-e-marg Hun Mar Mere Samne

main bhi sharik-e-marg hun mar mere samne

meri sada ke phul bikhar mere samne

aaKHir wo aarzu mere sar par sawar thi

lae the jis ko KHak-ba-sar mere samne

kahte nahin hain us ka suKHan mere aas pas

dete nahin hain us ki KHabar mere samne

aage baDhun to zard ghaTa mere ru-ba-ru

pichhe muDun to gard-e-safar mere samne

main KHud kisi ke KHun ki aandhi hun in dinon

uDti hui hawa se na Dar mere samne

aankhon mein rakh Dal ke nikla hun sair ko

shaKHon pe nachte hain sharar mere samne

tari hai ek sukut 'zafar' KHak-o-KHisht par

jari hai baadalon ka safar mere samne

(1206) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Main Bhi Sharik-e-marg Hun Mar Mere Samne In English By Famous Poet Zafar Iqbal. Main Bhi Sharik-e-marg Hun Mar Mere Samne is written by Zafar Iqbal. Read famous Poem Main Bhi Sharik-e-marg Hun Mar Mere Samne for youth and Student by Zafar Iqbal. Free Download Main Bhi Sharik-e-marg Hun Mar Mere Samne in PDF.