Milun Us Se To Milne Ki Nishani Mang Leta Hun

milun us se to milne ki nishani mang leta hun

takalluf-bartaraf pyasa hun pani mang leta hun

sawal-e-wasl karta hun ki chamkaun lahu dil ka

main apna rang bharne ko kahani mang leta hun

ye kya ahl-e-hawas ki tarah har shai mangte rahna

ki main to sirf us ki mehrbani mang leta hun

wo sair-e-subh ke aalam mein hota hai to main us se

ghaDi bhar ke liye KHwab-e-jawani mang leta hun

jahan rukne lage mere dil-e-bimar ki dhaDkan

main un qadmon se thoDi si rawani mang leta hun

mera meyar meri bhi samajh mein kuchh nahin aata

nae lamhon mein taswiren purani mang leta hun

ziyan-kari 'zafar' buniyaad hai meri tijarat ki

subuksari ke badle sargirani mang leta hun

(1474) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Milun Us Se To Milne Ki Nishani Mang Leta Hun In English By Famous Poet Zafar Iqbal. Milun Us Se To Milne Ki Nishani Mang Leta Hun is written by Zafar Iqbal. Read famous Poem Milun Us Se To Milne Ki Nishani Mang Leta Hun for youth and Student by Zafar Iqbal. Free Download Milun Us Se To Milne Ki Nishani Mang Leta Hun in PDF.