Mustarad Ho Gaya Jab Tera Qubula Hua Main

mustarad ho gaya jab tera qubula hua main

yaad kya aaunga is tarah se bhula hua main

baat mujh mein bhi kuchh is tarah ki hogi jo yahan

kabhi wapas hi na hota tha wasula hua main

KHak thi aur hawa thi mere andar bahar

dasht ek samne tha aur bagula hua main

nahin marne mein bhi darkar taawun mujh ko

chhat se apni hi nazar aaunga jhula hua main

waqt wo tha ki KHad-o-KHal numayan the mere

ab ye haalat hai ki bas ek hayula hua main

ye bhi sach hai ki amal mujh pe kisi ne na kiya

warna kahne ko to mashhur maqula hua main

ek nahusat hai mere mausamon par chhai hui

hai yahi wajh ki phalta nahin phula hua main

phir kisi se bhi girah mujh pe lagai na gai

koi beDhab hi bahut misra-e-ula hua main

maut ke sath hui hai meri shadi so 'zafar'

umr ke aaKHiri lamhat mein dulha hua main

(1089) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Mustarad Ho Gaya Jab Tera Qubula Hua Main In English By Famous Poet Zafar Iqbal. Mustarad Ho Gaya Jab Tera Qubula Hua Main is written by Zafar Iqbal. Read famous Poem Mustarad Ho Gaya Jab Tera Qubula Hua Main for youth and Student by Zafar Iqbal. Free Download Mustarad Ho Gaya Jab Tera Qubula Hua Main in PDF.