Na GhaT Hai Koi Apna Na Ghar Hamara Hua

na ghaT hai koi apna na ghar hamara hua

qayam ab ke sar-e-rah-guzar hamara hua

gharaz rahi na kabhi manzilon se koi hamein

hamesha apne hi andar safar hamara hua

usi ki raushni kaam aai umr-bhar apne

jo ek sitara faqat sham-bhar hamara hua

hamare hisse mein diwar hi rahi din raat

koi daricha hamara na dar hamara hua

hamare KHun se guzar kar hi tegh-e-barq bujhi

hamare KHas mein utar kar sharar hamara hua

zar-e-suKHan jo luTaya hai raste mein kahin

to dur dasht-e-hawa mein KHatar hamara hua

rahe hain be-samar o saya hi sar-e-hasti

barae nam yahan par shajar hamara hua

isi mein uljhe hue hain hamare panw abhi

jo ek KHwab kabhi sar-ba-sar hamara hua

kisi sanad ki zarurat nahin paDi hai 'zafar'

hamara aib hi aaKHir hunar hamara hua

(1271) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Na GhaT Hai Koi Apna Na Ghar Hamara Hua In English By Famous Poet Zafar Iqbal. Na GhaT Hai Koi Apna Na Ghar Hamara Hua is written by Zafar Iqbal. Read famous Poem Na GhaT Hai Koi Apna Na Ghar Hamara Hua for youth and Student by Zafar Iqbal. Free Download Na GhaT Hai Koi Apna Na Ghar Hamara Hua in PDF.