Na Guman Rahne Diya Hai Na Yaqin Rahne Diya

na guman rahne diya hai na yaqin rahne diya

rasta koi khula hum ne nahin rahne diya

us ne TukDon mein bikhera hua tha mujh ko jahan

ja uThaya hai kahin se to kahin rahne diya

saj rahe the ye shab o rose kuchh aise tujh se

hum ko duniya hi pasand aa gai din rahne diya

KHud to baghi hue hum tujh se magar sath hi sath

dil-e-ruswa ko tere zer-e-nagin rahne diya

ja-ba-ja is mein bhi tere hi nishan the shamil

hum ne ek naqsh agar apne tain rahne diya

ek KHabar thi jise zahir na kiya hum ne kabhi

ek KHazana tha jise zer-e-zamin rahne diya

KHud to bahar hue hum KHana-e-dil se lekin

wo kisi KHwab mein tha us ko yahin rahne diya

aasman se kabhi hum ne bhi utara na use

aur us ne bhi hamein KHak-nashin rahne diya

hum ne chheDa nahin ashya-e-mohabbat ko 'zafar'

jo jahan par thi paDi us ko wahin rahne diya

(1119) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Na Guman Rahne Diya Hai Na Yaqin Rahne Diya In English By Famous Poet Zafar Iqbal. Na Guman Rahne Diya Hai Na Yaqin Rahne Diya is written by Zafar Iqbal. Read famous Poem Na Guman Rahne Diya Hai Na Yaqin Rahne Diya for youth and Student by Zafar Iqbal. Free Download Na Guman Rahne Diya Hai Na Yaqin Rahne Diya in PDF.