Na Koi Baat Kahni Hai Na Koi Kaam Karna Hai

na koi baat kahni hai na koi kaam karna hai

aur us ke baad kafi der tak aaram karna hai

is aaghaz-e-mohabbat hi mein pure ho gae hum to

ise ab aur kya sharminda-e-anjam karna hai

bahut be-sud hai lekin abhi kuchh aur din mujh ko

sawad-e-subh mein rah kar shumar-e-sham karna hai

nishan dena hai main ne kuchh ghubar-alud samton ka

koi kafi purana raaz tasht-az-baam karna hai

badi ke taur par karni hai neki bhi mohabbat mein

ki jo bhi kaam karna hai wo be-hangam karna hai

abhi to kar-e-KHair itna paDa hai samne mere

abhi to main ne har KHas aadmi ko aam karna hai

koi badla chukana hai wafa ke nam par us se

masafat ke liye uThna hai aur bisram karna hai

kamai umr bhar ki hai yahi ek jaidad apni

so ye KHwab-e-tamasha ab kisi ke nam karna hai

ek aaghaz-e-safar hai ai 'zafar' ye puKHta-kari bhi

abhi to main ne apni puKHtagi ko KHam karna hai

(1824) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Na Koi Baat Kahni Hai Na Koi Kaam Karna Hai In English By Famous Poet Zafar Iqbal. Na Koi Baat Kahni Hai Na Koi Kaam Karna Hai is written by Zafar Iqbal. Read famous Poem Na Koi Baat Kahni Hai Na Koi Kaam Karna Hai for youth and Student by Zafar Iqbal. Free Download Na Koi Baat Kahni Hai Na Koi Kaam Karna Hai in PDF.