Pae Hue Is Waqt Ko Khona Hi Bahut Hai

pae hue is waqt ko khona hi bahut hai

nind aae to is haal mein sona hi bahut hai

itni bhi faraghat hai yahan kis ko mayassar

ye ek taraf baiTh ke rona hi bahut hai

tujh se koi filhaal talab hai na tamanna

is shahr mein jaise tera hona hi bahut hai

hum oDh bhi lete hain ise waqt-e-zarurat

hum ko ye mohabbat ka bichhauna hi bahut hai

ugta hai ki miTTi hi mein ho jata hai miTi

is bij ka is KHak mein bona hi bahut hai

KHush-haal bhi ho sakta hun main chashm-e-zadan mein

mere liye us jism ka sona hi bahut hai

apne liye in chand sitaron ko sar-e-sham

is shaKH-e-tamasha mein pirona hi bahut hai

pahle hi bahut KHak uDai hai yahan par

mere liye is dasht ka kona hi bahut hai

dariya ki rawani ko 'zafar' chhoDiye filhaal

thoDa sa ye honTon ko bhigona hi bahut hai

(6632) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Pae Hue Is Waqt Ko Khona Hi Bahut Hai In English By Famous Poet Zafar Iqbal. Pae Hue Is Waqt Ko Khona Hi Bahut Hai is written by Zafar Iqbal. Read famous Poem Pae Hue Is Waqt Ko Khona Hi Bahut Hai for youth and Student by Zafar Iqbal. Free Download Pae Hue Is Waqt Ko Khona Hi Bahut Hai in PDF.