Nahin Ki Tere Ishaare Nahin Samajhta Hun

nahin ki tere ishaare nahin samajhta hun

samajh to leta hun sare nahin samajhta hun

tera chaDha hua dariya samajh mein aata hai

tere KHamosh kinare nahin samajhta hun

kidhar se nikla hai ye chand kuchh nahin malum

kahan ke hain ye sitare nahin samajhta hun

kahin kahin mujhe apni KHabar nahin milti

kahin kahin tere bare nahin samajhta hun

jo daen baen bhi hain aur aage pichhe bhi

unhen main ab bhi tumhaare nahin samajhta hun

KHud apne dil se yahi iKHtilaf hai mera

ki main ghamon ko ghubare nahin samajhta hun

kabhi to hota hai meri samajh se bahar hi

kabhi main sharm ke mare nahin samajhta hun

kahin to hain jo mere KHwab dekhte hain 'zafar'

koi to hain jinhen pyare nahin samajhta hun

(1973) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Nahin Ki Tere Ishaare Nahin Samajhta Hun In English By Famous Poet Zafar Iqbal. Nahin Ki Tere Ishaare Nahin Samajhta Hun is written by Zafar Iqbal. Read famous Poem Nahin Ki Tere Ishaare Nahin Samajhta Hun for youth and Student by Zafar Iqbal. Free Download Nahin Ki Tere Ishaare Nahin Samajhta Hun in PDF.