Nahin Ki Dil Mein Hamesha KHushi Bahut Aai

nahin ki dil mein hamesha KHushi bahut aai

kabhi taraste rahe aur kabhi bahut aai

mere falak se wo tufan nahin uTha phir se

meri zamin mein wo tharthari bahut aai

jidhar se khol ke baiThe the dar andhere ka

usi taraf se hamein raushni bahut aai

wahan maqam to rone ka tha magar ai dost

tere firaq mein hum ko hansi bahut aai

rawan rahe safar-e-marg par yunhi warna

hamari rah mein ye zindagi bahut aai

yahan kuchh apni hawaon mein bhi uDe hain bahut

hamare KHwab mein kuchh wo pari bahut aai

na tha ziyaada kuchh ehsas jis ke hone ka

chala gaya hai to us ki kami bahut aai

na jaane kyun meri niyyat badal gai yak-dam

wagarna us pe tabiat meri bahut aai

'zafar' shuur to aaya nahin zara bhi hamein

bajae is ke magar shairi bahut aai

(1237) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Nahin Ki Dil Mein Hamesha KHushi Bahut Aai In English By Famous Poet Zafar Iqbal. Nahin Ki Dil Mein Hamesha KHushi Bahut Aai is written by Zafar Iqbal. Read famous Poem Nahin Ki Dil Mein Hamesha KHushi Bahut Aai for youth and Student by Zafar Iqbal. Free Download Nahin Ki Dil Mein Hamesha KHushi Bahut Aai in PDF.