Na Usko Bhul Pae Hain Na Humne Yaad Rakkha Hai

na us ko bhul pae hain na hum ne yaad rakkha hai

dil-e-barbaad ko is tarha se aabaad rakkha hai

jhamele aur bhi suljhane wale hain kai pahle

aur us ke wasl ki KHwahish ko sab se baad rakkha hai

ruka rahta hai chaaron samt ashk o aah ka mausam

rawan har lahza karobar-e-abr-o-baad rakkha hai

phir is ki kaamyabi ka koi imkan hi kya ho

agar us shoKH par dawa hi be-buniyaad rakkha hai

KHizan ke KHushk patte jis mein din-bhar khaDkhaDate hain

isi mausam ka nam ab ke bahaar-ijad rakkha hai

ye kya kam hai ki hum hain to sahi fahrist mein us ki

bhale na-shad rakkha hai ki hum ko shad rakkha hai

jise lafz-e-mohabbat ke maani tak nahin aate

use apne liye hum ne yahan ustad rakkha hai

jawab apne ko chahe jo bhi wo malbus pahnae

sawal is dil ne us ke aage madar-zad rakkha hai

'zafar' itna hi kafi hai jo wo raazi rahe hum par

kamar apni pe koi bojh hum ne lad rakkha hai

(1322) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Na Usko Bhul Pae Hain Na Humne Yaad Rakkha Hai In English By Famous Poet Zafar Iqbal. Na Usko Bhul Pae Hain Na Humne Yaad Rakkha Hai is written by Zafar Iqbal. Read famous Poem Na Usko Bhul Pae Hain Na Humne Yaad Rakkha Hai for youth and Student by Zafar Iqbal. Free Download Na Usko Bhul Pae Hain Na Humne Yaad Rakkha Hai in PDF.