Phir Koi Shakl Nazar Aane Lagi Pani Par

phir koi shakl nazar aane lagi pani par

saKHt mushkil mein hun is tarha ki aasani par

us ko parwa hi nahin hai ki wo kis haal mein hai

main hi mahjub hua KHwab ki uryani par

karta rahta hun main us but ki parastish hama-waqt

phir bhi shak hai use is jazba-e-imani par

ek sada hai kahin raaton mein safar karti hui

ek hawa hai kahin aai hui jaulani par

koi rukta hua dariya mere qadmon mein kahin

koi jhukta hua suraj meri peshani par

wahi manus thapeDe the mere chaaron taraf

mujhe hairat na hui dhup ki tabani par

wapsi par jo lage hain mujhe apne jaise

KHush hua hun dar-o-diwar ki virani par

ek din subh jo uTThen to ye duniya hi na ho

hai madar ab kisi aisi hi KHush-imkani par

sher hote hain 'zafar' lutf-e-suKHan se KHali

dad milti hai mujhe ab to KHush-alhani par

(2416) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Phir Koi Shakl Nazar Aane Lagi Pani Par In English By Famous Poet Zafar Iqbal. Phir Koi Shakl Nazar Aane Lagi Pani Par is written by Zafar Iqbal. Read famous Poem Phir Koi Shakl Nazar Aane Lagi Pani Par for youth and Student by Zafar Iqbal. Free Download Phir Koi Shakl Nazar Aane Lagi Pani Par in PDF.