Rafta Rafta Lag Chuke The Hum Bhi Diwaron Ke Sath

rafta rafta lag chuke the hum bhi diwaron ke sath

hashr apna bhi yahi tha hum bhi the saron ke sath

ek halchal si machi rahti hai dil mein har ghaDi

sath hain pyare hamare hum nahin pyaron ke sath

lag gai thi maut ki apni bhi chhoTi si KHabar

aaKHir apna bhi talluq tha in aKHbaron ke sath

aa rahi hai un ki KHu bu apne andar bhi kahin

hain reaya hi magar rahte hain sardaron ke sath

farz kuchh pagDi bachana bhi hai lekin ek din

dekhna sar bhi chale aaenge dastaron ke sath

dur se to farq hi koi nazar aata nahin

is tarah rul mil gae hain phul angaron ke sath

ho gai hai shakl hi tabdil darbaron ki ab

warna hum bhi kam nahin wabasta darbaron ke sath

paD gae the raegan pahchan ke chakkar mein hum

apni marzi se jo hum uDte nahin Daron ke sath

be-talluq bhi hai wo hum ne bhi hai ab tak 'zafar'

rabta joDa hua TuTe hue taron ke sath

(1333) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Rafta Rafta Lag Chuke The Hum Bhi Diwaron Ke Sath In English By Famous Poet Zafar Iqbal. Rafta Rafta Lag Chuke The Hum Bhi Diwaron Ke Sath is written by Zafar Iqbal. Read famous Poem Rafta Rafta Lag Chuke The Hum Bhi Diwaron Ke Sath for youth and Student by Zafar Iqbal. Free Download Rafta Rafta Lag Chuke The Hum Bhi Diwaron Ke Sath in PDF.