Rah Rah Ke Zabani Kabhi Tahrir Se Humne

rah rah ke zabani kabhi tahrir se hum ne

qael kiya us ko isi tadbir se hum ne

kis samt liye jate ho aur kya hai irada

puchha na kabhi apne inan-gir se hum ne

dil par koi qabu na raha jab to kisi taur

bandha hai ye wahshi teri zanjir se hum ne

har bar madad ke liye auron ko pukara

ya kaam liya nara-e-takbir se hum ne

behtar hai ki ab kaam koi aur kiya kar

ye bhi na kaha katib taqdir se hum ne

apni hi karamat dikhate rahe sab ko

sarqa na kiya mojaza-e-'mir' se hum ne

taKHrib to karte rahe sau tarha ki lekin

ye kaam kiya jazba-e-tamir se hum ne

ab dekhiye kya is ka nikalta hai natija

matha hai lagaya hua tasir se hum ne

wo baam-e-tamasha hua ghaeb to 'zafar' aaj

laTka liya KHud ko kisi shahtir se hum ne

(1160) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Rah Rah Ke Zabani Kabhi Tahrir Se Humne In English By Famous Poet Zafar Iqbal. Rah Rah Ke Zabani Kabhi Tahrir Se Humne is written by Zafar Iqbal. Read famous Poem Rah Rah Ke Zabani Kabhi Tahrir Se Humne for youth and Student by Zafar Iqbal. Free Download Rah Rah Ke Zabani Kabhi Tahrir Se Humne in PDF.