RuKH-e-zeba Idhar Nahin Karta

ruKH-e-zeba idhar nahin karta

chahta hai magar nahin karta

sochta hai magar samajhta nahin

dekhta hai nazar nahin karta

band hai us ka dar agar mujh par

kyun mujhe dar-ba-dar nahin karta

harf-e-inkar aur itna tawil

baat ko muKHtasar nahin karta

na kare shahr mein wo hai to sahi

mehrbani agar nahin karta

husn us ka usi maqam pe hai

ye musafir safar nahin karta

ja ke samjhaen kya use ki 'zafar'

tu bhi to darguzar nahin karta

(2522) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

RuKH-e-zeba Idhar Nahin Karta In English By Famous Poet Zafar Iqbal. RuKH-e-zeba Idhar Nahin Karta is written by Zafar Iqbal. Read famous Poem RuKH-e-zeba Idhar Nahin Karta for youth and Student by Zafar Iqbal. Free Download RuKH-e-zeba Idhar Nahin Karta in PDF.