Safar KaThin Hi Sahi Jaan Se Guzarna Kya

safar kaThin hi sahi jaan se guzarna kya

jo chal paDe hain to ab rah mein Thaharna kya

jo dil mein gunjti ho aankh se jhalakti ho

kisi ke samne us baat se mukarna kya

inhi rawan dawan lahron pe zindagi kaT jae

ho tera sath mayassar to par utarna kya

mile na gauhar-e-maqsud Dub kar bhi agar

to lash ban ke phir us bahr se ubharna kya

jis aab-rud ki auqat chand qatre ho

to us ko phandna kya us mein panw dharna kya

jahan ghurur hunar-parwari ho pumba-e-gosh

wahan takalluf-e-arz-e-niyaz karna kya

fasad-e-KHalq bhi hangama didani tha 'zafar'

phir ek bar wahi shosha chhoD Darna kya

(1222) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Safar KaThin Hi Sahi Jaan Se Guzarna Kya In English By Famous Poet Zafar Iqbal. Safar KaThin Hi Sahi Jaan Se Guzarna Kya is written by Zafar Iqbal. Read famous Poem Safar KaThin Hi Sahi Jaan Se Guzarna Kya for youth and Student by Zafar Iqbal. Free Download Safar KaThin Hi Sahi Jaan Se Guzarna Kya in PDF.