SimaTne Ki Hawas Kya Thi Bikharna Kis Liye Hai

simaTne ki hawas kya thi bikharna kis liye hai

wo jina kis ki KHatir tha ye marna kis liye hai

mohabbat bhi hai aur apna taqaza bhi nahin kuchh

hum us se saf kah denge mukarna kis liye hai

jhijhakna hai to us ke samne hona hi kaisa

jo Darna hai to dariya mein utarna kis liye hai

masafat KHwab hai to KHwab mein ab jagna kya

agar chal hi paDe hain to Thaharna kis liye hai

na karne se bhi hota ho jahan sab ka guzara

wahan aaKHir kisi ne kaam karna kis liye hai

agar rukna nahin us ne hamare pas to phir

hamare raste par se guzarna kis liye hai

wo kah dega to uTh jaenge us ki bazm se hum

munasib hi nahin lagta pasarna kis liye hai

'zafar' us par asar to koi hota hai na hoga

to phir ye rose ka banna sanwarna kis liye hai

(1073) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

SimaTne Ki Hawas Kya Thi Bikharna Kis Liye Hai In English By Famous Poet Zafar Iqbal. SimaTne Ki Hawas Kya Thi Bikharna Kis Liye Hai is written by Zafar Iqbal. Read famous Poem SimaTne Ki Hawas Kya Thi Bikharna Kis Liye Hai for youth and Student by Zafar Iqbal. Free Download SimaTne Ki Hawas Kya Thi Bikharna Kis Liye Hai in PDF.