Sochta Hun Ki Apni Raza Ke Liye ChhoD Dun

sochta hun ki apni raza ke liye chhoD dun

wo jo kahta hai us ko KHuda ke liye chhoD dun

chumne ke liye tham rakhkhun koi dam wo hath

aur wo panw rang-e-hina ke liye chhoD dun

shahr ko sare logon mein taqsim kar dun magar

chand galiyan main apni sada ke liye chhoD dun

KHwahishen tang hain dil ke andar agar tum kaho

ye kabutar tumhaari faza ke liye chhoD dun

kar-e-mushkil to hai hi magar main bhi majbur hun

ibtida ko agar intiha ke liye chhoD dun

mera hargiz bhi koi bharosa nahin hai agar

main rawa ko yahan na-rawa ke liye chhoD dun

ye bhi mumkin hai KHud se kisi din guzarte hue

apne TukDe kahin ja-ba-ja ke liye chhoD dun

ab ye socha hai muTThi mein umr-e-baqaya meri

jo bhi hai ek der-ashna ke liye chhoD dun

KHud se bahar nikal jaun main aur KHud ko 'zafar'

koi din jangalon ki hawa ke liye chhoD dun

(1103) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Sochta Hun Ki Apni Raza Ke Liye ChhoD Dun In English By Famous Poet Zafar Iqbal. Sochta Hun Ki Apni Raza Ke Liye ChhoD Dun is written by Zafar Iqbal. Read famous Poem Sochta Hun Ki Apni Raza Ke Liye ChhoD Dun for youth and Student by Zafar Iqbal. Free Download Sochta Hun Ki Apni Raza Ke Liye ChhoD Dun in PDF.