Taqaza Ho Chuki Hai Aur Tamanna Ho Raha Hai

taqaza ho chuki hai aur tamanna ho raha hai

ki sidha chahta hun aur ulTa ho raha hai

ye taswiren sadaon mein Dhali jati hain kyun kar

ki aankhen band hain lekin tamasha ho raha hai

kahin Dhalti hai sham aur phuTti hai raushni si

kahin pau phaT rahi hai aur andhera ho raha hai

pas-e-mauj-e-hawa barish ka bistar sa bichhane

sar-e-baam-e-nawa baadal ka TukDa ho raha hai

jise darwaza kahte the wahi diwar nikli

jise hum dil samajhte the wo duniya ho raha hai

qadam rakkhe hain is payab mein hum ne to jab se

ye dariya aur gahra aur gahra ho raha hai

KHarabi ho rahi hai to faqat mujh mein hi sari

mere chaaron taraf to KHub achchha ho raha hai

kahan tak ho saka kar-e-mohabbat kya bataen

tumhaare samne hai kaam jitna ho raha hai

guzarte ja rahe the hum 'zafar' lamha-ba-lamha

samajhte the ki ab apna guzara ho raha hai

(958) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Taqaza Ho Chuki Hai Aur Tamanna Ho Raha Hai In English By Famous Poet Zafar Iqbal. Taqaza Ho Chuki Hai Aur Tamanna Ho Raha Hai is written by Zafar Iqbal. Read famous Poem Taqaza Ho Chuki Hai Aur Tamanna Ho Raha Hai for youth and Student by Zafar Iqbal. Free Download Taqaza Ho Chuki Hai Aur Tamanna Ho Raha Hai in PDF.