Tere Aasman Ki Zamin Ho Gaya Hun

tere aasman ki zamin ho gaya hun

hua hun to apne tain ho gaya hun

mili hai jagah dil mein thoDi si us ke

samajh lo ki gosha-nashin ho gaya hun

yahan par main hona nahin chahta tha

magar hote hote yahin ho gaya hun

tere panw paDne se inkar kar dun

main itna to KHud-sar nahin ho gaya hun

jahan mujh ko hone se roka tha us ne

nahin baz aaya wahin ho gaya hun

makan jis ka naqsha abhi ban raha hai

main filhaal us ka makin ho gaya hun

tawajjoh ka talib hun is tarah se bhi

agar aap ka nukta-chin ho gaya hun

buDhape se agli ye manzil hai koi

jawan ho gaya hun hasin ho gaya hun

ise bhi 'zafar' meri himmat hi samjho

kahin ho na paya kahin ho gaya hun

(968) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Tere Aasman Ki Zamin Ho Gaya Hun In English By Famous Poet Zafar Iqbal. Tere Aasman Ki Zamin Ho Gaya Hun is written by Zafar Iqbal. Read famous Poem Tere Aasman Ki Zamin Ho Gaya Hun for youth and Student by Zafar Iqbal. Free Download Tere Aasman Ki Zamin Ho Gaya Hun in PDF.