Tere Raston Se Jabhi Guzar Nahin Kar Raha

tere raston se jabhi guzar nahin kar raha

ki mein apni umr abhi basar nahin kar raha

koi baat hai jo hai darmiyan main ruki hui

koi kaam hai jo main raat-bhar nahin kar raha

hai koi KHabar jo chhipae baiTha hun KHalq se

koi KHwab hai jise dar-ba-dar nahin kar raha

teri baat koi bhi manta nahin shahr mein

to mera kaha bhi kahin asar nahin kar raha

kahin mere gird-o-nawah mein koi shai nahin

main kisi taraf bhi abhi nazar nahin kar raha

koi shaKH hai jise barg-o-bar nahin mile

koi sham hai jise main shajar nahin kar raha

koi is pe ghaur agar kare bhi to kis liye

ye suKHan main aap bhi soch kar nahin kar raha

abhi meri apni samajh mein bhi nahin aa rahi

main jabhi to baat ko muKHtasar nahin kar raha

ye main apne aib jo kar raha hun ayan 'zafar'

to dar-asl ye bhi koi hunar nahin kar raha

(1070) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Tere Raston Se Jabhi Guzar Nahin Kar Raha In English By Famous Poet Zafar Iqbal. Tere Raston Se Jabhi Guzar Nahin Kar Raha is written by Zafar Iqbal. Read famous Poem Tere Raston Se Jabhi Guzar Nahin Kar Raha for youth and Student by Zafar Iqbal. Free Download Tere Raston Se Jabhi Guzar Nahin Kar Raha in PDF.