Thakna Bhi Lazmi Tha Kuchh Kaam Karte Karte

thakna bhi lazmi tha kuchh kaam karte karte

kuchh aur thak gaya hun aaram karte karte

andar sab aa gaya hai bahar ka bhi andhera

KHud raat ho gaya hun main sham karte karte

ye umr thi hi aisi jaisi guzar di hai

badnam hote hote badnam karte karte

phansta nahin parinda hai bhi isi faza mein

tang aa gaya hun dil ko yun dam karte karte

kuchh be-KHabar nahin the jo jaante hain mujh ko

main kuch kar raha tha bisram karte karte

sar se guzar gaya hai pani to zor karta

sab rok rukte rukte sab tham karte karte

kis ke tawaf mein the aur ye din aa gae hain

kya KHak thi ki jis ko ehram karte karte

jis moD se chale the pahunche hain phir wahin par

ek raegan safar ko anjam karte karte

aaKHir 'zafar' hua hun manzar se KHud hi ghaeb

uslub-e-KHas apna main aam karte karte

(3005) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Thakna Bhi Lazmi Tha Kuchh Kaam Karte Karte In English By Famous Poet Zafar Iqbal. Thakna Bhi Lazmi Tha Kuchh Kaam Karte Karte is written by Zafar Iqbal. Read famous Poem Thakna Bhi Lazmi Tha Kuchh Kaam Karte Karte for youth and Student by Zafar Iqbal. Free Download Thakna Bhi Lazmi Tha Kuchh Kaam Karte Karte in PDF.