Tilism-e-hosh-ruba Mein Patang UDti Hai

tilism-e-hosh-ruba mein patang uDti hai

kisi aqab ki hawa mein patang uDti hai

chaDhe hain kaTne walon pe luTne wale

isi hujum-e-bala main patang uDti hai

patang uDane se kya mana kar sake zahid

ki us ki apni aba mein patang uDti hai

ye aap kaTti hai ya kaTti hai dusri ko

bas ek bim-o-raja mein patang uDti hai

kahin chhaton pe bapa hai basant ka tyauhaar

kahin pe tangi-e-ja mein patang uDti hai

kahin falak pe sarakti hai sarsaraati hui

kahin dilon ki faza mein patang uDti hai

khula hai is pe kuchh aise bahaar ka mausam

hai ruKH pe rang qaba mein patang uDti hai

ye KHwab hai ki ulajhta hai aur KHwabon se

ye chand hai ki KHala mein patang uDti hai

umid-e-wasl mein so jaen hum kabhi jo 'zafar'

to apni KHwab-sara mein patang uDti hai

(1445) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Tilism-e-hosh-ruba Mein Patang UDti Hai In English By Famous Poet Zafar Iqbal. Tilism-e-hosh-ruba Mein Patang UDti Hai is written by Zafar Iqbal. Read famous Poem Tilism-e-hosh-ruba Mein Patang UDti Hai for youth and Student by Zafar Iqbal. Free Download Tilism-e-hosh-ruba Mein Patang UDti Hai in PDF.