Yahan Sab Se Alag Sab Se Juda Hona Tha Mujhko

yahan sab se alag sab se juda hona tha mujh ko

magar kya ho gaya hun aur kya hona tha mujh ko

abhi ek lahar thi jis ko guzarna tha saron se

abhi ek lafz tha mein aur ada hona tha mujh ko

phir us ko DhunDne mein umr sari bit jati

koi apni hi gum-gashta sada hona tha mujh ko

pasand aaya kisi ko mera aandhi ban ke uThna

kisi ki rae mein baad-e-saba hona tha mujh ko

wahan se bhi guzar aaya hun KHamoshi mein ab ke

jahan ek shor ki surat bapa hona tha mujh ko

dar-o-diwar se itni mohabbat kis ke liye thi

agar is qaid KHane se riha hona tha mujh ko

main apni rakh se be-shak dobara sar uThata

magar ek bar to jal kar fana hona tha mujh ko

main andar se kahin tabdil hona chahta tha

purani kenchuli mein hi naya hona tha mujh ko

'zafar' main ho gaya kuchh aur warna asl mein to

bura hona tha mujh ko ya bhala hona tha mujh ko

(1271) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Yahan Sab Se Alag Sab Se Juda Hona Tha Mujhko In English By Famous Poet Zafar Iqbal. Yahan Sab Se Alag Sab Se Juda Hona Tha Mujhko is written by Zafar Iqbal. Read famous Poem Yahan Sab Se Alag Sab Se Juda Hona Tha Mujhko for youth and Student by Zafar Iqbal. Free Download Yahan Sab Se Alag Sab Se Juda Hona Tha Mujhko in PDF.