Yaksu Bhi Lag Raha Hun Bikharne Ke Bawajud

yaksu bhi lag raha hun bikharne ke bawajud

puri tarah mara nahin marne ke bawajud

ek dhup si tani hui baadal ke aar-par

ek pyas hai ruki hui jharne ke bawajud

us ko bhi yaad karne ki fursat na thi mujhe

masruf tha main kuchh bhi na karne ke bawajud

pahla bhi dusra hi kinara ho jis tarah

haalat wahi hai par utarne ke bawajud

apni taraf hi ruKH tha wahan wardat ka

ilzam us ke nam pe dharne ke bawajud

hairan hun mujh mein itni ye himmat kahan se aai

kar hi gaya hun kaam jo Darne ke bawajud

hona paDa na hote hue bhi mujhe yahan

kuchh yaad rah gaya hun bisarne ke bawajud

jaisa bhi ye safar ho zara ghaur kijiye

kaisa rawan-dawan hun Thaharne ke bawajud

nikla nahin hai koi natija yahan 'zafar'

karne ke bawajud na bharne ke bawajud

(1219) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Yaksu Bhi Lag Raha Hun Bikharne Ke Bawajud In English By Famous Poet Zafar Iqbal. Yaksu Bhi Lag Raha Hun Bikharne Ke Bawajud is written by Zafar Iqbal. Read famous Poem Yaksu Bhi Lag Raha Hun Bikharne Ke Bawajud for youth and Student by Zafar Iqbal. Free Download Yaksu Bhi Lag Raha Hun Bikharne Ke Bawajud in PDF.