Yaqin Ki KHak UDate Guman Banate Hain

yaqin ki KHak uDate guman banate hain

magar ye turfa imarat kahan banate hain

laga rahe hain nae zaeqon ke zaKHm abhi

asas-e-fikr na tarz-e-bayan banate hain

qarib-o-dur se bejoD aks ashiya ke

talash karte hain aur dastan banate hain

ki mil sake na hamara suragh hum ko bhi

bina-e-abr-o-hawa par makan banate hain

purane zulm mein lazzat nahin hamare liye

hum apne sar pe naya aasman banate hain

nahin nasib mein marna sawad-e-sahil par

jo Dubne ke liye kashtiyan banate hain

falak pe DhunDte hain gard-e-rang-e-rafta-e-dil

zamin pe sham-e-talab ka nishan banate hain

wo jis ki lai pe larazta hai barg barg badan

us ek rang se naqsh-e-KHizan banate hain

'zafar' ye waqt hi batlaega ki aaKHir hum

bigaDte hain zaban ya zaban banate hain

(1357) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Yaqin Ki KHak UDate Guman Banate Hain In English By Famous Poet Zafar Iqbal. Yaqin Ki KHak UDate Guman Banate Hain is written by Zafar Iqbal. Read famous Poem Yaqin Ki KHak UDate Guman Banate Hain for youth and Student by Zafar Iqbal. Free Download Yaqin Ki KHak UDate Guman Banate Hain in PDF.