Ye Baat Alag Hai Mera Qatil Bhi Wahi Tha

ye baat alag hai mera qatil bhi wahi tha

is shahr mein tarif ke qabil bhi wahi tha

aasan tha bahut us ke liye harf-e-murawwat

aur marhala apne liye mushkil bhi wahi tha

tabir thi apni bhi wahi KHwab-e-safar ki

afsana-e-mahrumi-e-manzil bhi wahi tha

ek hath mein talwar thi ek hath mein kashkol

zalim to wo tha hi mera sail bhi wahi tha

hum aap ke apne hain wo kahta raha mujh se

aaKHir saf-e-aghyar mein shamil bhi wahi tha

main lauT ke aaya to gulistan-e-hawas mein

tha gul bhi wahi shor-e-anadil bhi wahi tha

dawe the 'zafar' us ko bahut ba-KHabari ke

dekha to mere haal se ghafil bhi wahi tha

(2531) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ye Baat Alag Hai Mera Qatil Bhi Wahi Tha In English By Famous Poet Zafar Iqbal. Ye Baat Alag Hai Mera Qatil Bhi Wahi Tha is written by Zafar Iqbal. Read famous Poem Ye Baat Alag Hai Mera Qatil Bhi Wahi Tha for youth and Student by Zafar Iqbal. Free Download Ye Baat Alag Hai Mera Qatil Bhi Wahi Tha in PDF.