Ye Bhi Mumkin Hai Ki Aankhen Hon Tamasha Hi Na Ho

ye bhi mumkin hai ki aankhen hon tamasha hi na ho

ras aane lage hum ko to ye duniya hi na ho

kahin nikle koi andaza hamara bhi ghalat

jaante hain use jaisa kahin waisa hi na ho

ho kisi tarha se maKHsus hamare hi liye

yani jitna nazar aata hai wo utna hi na ho

TakTaki bandh ke main dekh raha hun jis ko

ye bhi ho sakta hai wo samne baiTha hi na ho

wo koi aur ho jo sath kisi aur ke hai

asl mein to wo abhi lauT ke aaya hi na ho

KHwab-dar-KHwab chala karta hai aankhon mein jo shaKHs

DhunDne niklen use aur kahin rahta hi na ho

chamak uTTha ho abhi ru-e-bayaban ek dam

aur ye nazzara kisi aur ne dekha hi na ho

kaifiyat hi koi pani ne badal li ho kahin

hum jise dasht samajhte hain wo dariya hi na ho

masala itna bhi aasan nahin hai ki 'zafar'

apne nazdik jo sidha hai wo ulTa hi na ho

(2977) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ye Bhi Mumkin Hai Ki Aankhen Hon Tamasha Hi Na Ho In English By Famous Poet Zafar Iqbal. Ye Bhi Mumkin Hai Ki Aankhen Hon Tamasha Hi Na Ho is written by Zafar Iqbal. Read famous Poem Ye Bhi Mumkin Hai Ki Aankhen Hon Tamasha Hi Na Ho for youth and Student by Zafar Iqbal. Free Download Ye Bhi Mumkin Hai Ki Aankhen Hon Tamasha Hi Na Ho in PDF.