Ye Nahin Kahta Ki Dobara Wahi Aawaz De

ye nahin kahta ki dobara wahi aawaz de

koi aasani to paida kar koi aawaz de

main use sun kar bhi aane ka nahin majbur hun

phir bhi apne KHwab-KHane se kabhi aawaz de

ho sake donon zamanon mein ham-ahangi koi

main purana hun to kya mujh ko nai aawaz de

maut ke sahil par istada hun to mujh ko kahin

zindagi ke paniyon mein Dubti aawaz de

Thik hai tu ne pukara hoga jis-tis ko magar

mere hisse mein koi aai hui aawaz de

bin bulaya hi chala aaunga main shayad kabhi

lekin itne shor mein to aap bhi aawaz de

main use pahchan hi paun na pahli bar to

koi aawazon ke jangal mein ghiri aawaz de

munh se kuchh kah to sahi is KHamushi ke aar-par

mustaqil ko chhoD koi sarsari aawaz de

tu ne to har haal mein sunna hai ab tujh ko 'zafar'

raushni aawaz de ya tirgi aawaz de

(1436) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ye Nahin Kahta Ki Dobara Wahi Aawaz De In English By Famous Poet Zafar Iqbal. Ye Nahin Kahta Ki Dobara Wahi Aawaz De is written by Zafar Iqbal. Read famous Poem Ye Nahin Kahta Ki Dobara Wahi Aawaz De for youth and Student by Zafar Iqbal. Free Download Ye Nahin Kahta Ki Dobara Wahi Aawaz De in PDF.