Ye Zamin Aasman Ka Mumkin

ye zamin aasman ka mumkin

nahin sare jahan ka mumkin

aql ki KHar-zar wadi mein

rakh liya hai guman ka mumkin

kuchh mere haal-e-zar ka imkan

kuchh teri aan-ban ka mumkin

hain wahi na-rasai ke naghme

aur wahi mehrban ka mumkin

kuchh ziyaada tabah kar na sake

jism ke sath jaan ka mumkin

aage aage hun main mere pichhe

hai mere qadr-dan ka mumkin

dur-tar hai suragh ka sahil

dhund mein hai nishan ka mumkin

la-makani hi la-makani hai

kho chuka hai makan ka mumkin

is buDhape mein bhi 'zafar' aa kar

koi dekhe jawan ka mumkin

(1119) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ye Zamin Aasman Ka Mumkin In English By Famous Poet Zafar Iqbal. Ye Zamin Aasman Ka Mumkin is written by Zafar Iqbal. Read famous Poem Ye Zamin Aasman Ka Mumkin for youth and Student by Zafar Iqbal. Free Download Ye Zamin Aasman Ka Mumkin in PDF.