BaKHt Jage To Jahan-dida Si Ho Jati Hai

baKHt jage to jahan-dida si ho jati hai

shaKHsiyat aur bhi sanjida si ho jati hai

go hama-waqt nai lagti hai duniya lekin

shai purani ho to bosida si ho jati hai

kaun hai wo ki jise mund lun aankhen dekhun

aankh khul jae to poshida si ho jati hai

khel hi khel mein laDki wo shararat wali

baat hi baat mein sanjida si ho jati hai

main wo aazar na tarashun koi murat lekin

jis ko chhu lun wo tarashida si ho jati hai

yaad aate hain mujhe 'mir' ke ashaar 'zafar'

jab tabiat meri ranjida si ho jati hai

(1244) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

BaKHt Jage To Jahan-dida Si Ho Jati Hai In English By Famous Poet Zafar Kaleem. BaKHt Jage To Jahan-dida Si Ho Jati Hai is written by Zafar Kaleem. Read famous Poem BaKHt Jage To Jahan-dida Si Ho Jati Hai for youth and Student by Zafar Kaleem. Free Download BaKHt Jage To Jahan-dida Si Ho Jati Hai in PDF.