Chal PaDe To Phir Apni Dhun Mein Be-KHabar Barson

chal paDe to phir apni dhun mein be-KHabar barson

lauT kar nahin dekha hum ne apna ghar barson

jada-e-hawadis mein chal ke dekh le koi

kaise tai kiya hum ne maut ka safar barson

barg-o-bar par us ke haq nahin hamara hi

apne KHun se sincha hum ne jo shajar barson

jo sadaf samundar ki tah mein chhan sakte the

DhunDte rahe wo bhi ret mein guhar barson

dosto zarurat par kaam aa gaya apne

dushmanon se sikha tha hum ne jo hunar barson

jab mile rafiqon se zaKHm hi mile hum ko

be-sabab raha dil mein dushmanon ka Dar barson

wo bhi kya ajab din the shauq-e-rah-nawardi mein

hum ne bhi zamane ki sair ki 'zafar' barson

(1142) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Chal PaDe To Phir Apni Dhun Mein Be-KHabar Barson In English By Famous Poet Zafar Kaleem. Chal PaDe To Phir Apni Dhun Mein Be-KHabar Barson is written by Zafar Kaleem. Read famous Poem Chal PaDe To Phir Apni Dhun Mein Be-KHabar Barson for youth and Student by Zafar Kaleem. Free Download Chal PaDe To Phir Apni Dhun Mein Be-KHabar Barson in PDF.