Ghar Se Nikale Panw To Raste SimaT Gae

ghar se nikale panw to raste simaT gae

hum yun chale ki rah ke patthar bhi hiT gae

hum ne khule kiwaD pe dastak suni magar

wo kaun log the ki jo aa kar palaT gae

dar band hi rakho ki hawaon ka zor hai

ab ke khule kiwaD to samho ki piT gae

ghaarat-gari-e-zor-e-talatum are ghazab

kashti ke baadban hawaon se phaT gae

sahra ki tez dhup ghane jangalon ki chhanw

in mein mere nasib ke din raat baT gae

shohrat ki aarzu ne kiya be-watan hamein

itni baDhi gharaz ki usulon se haT gae

jab jab bhi main nai tark-e-watan ka kiya KHayal

qadmon se mere ganw ke raste lipaT gae

kin se karen shikayat-e-jaur-o-sitam 'zafar'

apne gale to apne hi KHanjar se kaT gae

(1314) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ghar Se Nikale Panw To Raste SimaT Gae In English By Famous Poet Zafar Kaleem. Ghar Se Nikale Panw To Raste SimaT Gae is written by Zafar Kaleem. Read famous Poem Ghar Se Nikale Panw To Raste SimaT Gae for youth and Student by Zafar Kaleem. Free Download Ghar Se Nikale Panw To Raste SimaT Gae in PDF.