Guman Tak Mein Na Tha Mahw-e-yas Kar Dega

guman tak mein na tha mahw-e-yas kar dega

wo yun milega ki mujh ko udas kar dega

karam karega mere haal par magar pahle

shararatan wo mujhe gham-shanas kar dega

shaguftagi-e-chaman par bahut ghurur na kar

KHizan ka daur tujhe bad-hawas kar dega

gaya wo daur ki jab KHar bhi mahakte the

ye daur wo hai jo phulon ko nas kar dega

wo hadsa jo abhi mere sath guzra hai

sunoge tum to tumhein bhi udas kar dega

use KHabar ki mere donon hath KHali hain

mujhe yaqin hai wo iltimas kar dega

(1105) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Guman Tak Mein Na Tha Mahw-e-yas Kar Dega In English By Famous Poet Zafar Kaleem. Guman Tak Mein Na Tha Mahw-e-yas Kar Dega is written by Zafar Kaleem. Read famous Poem Guman Tak Mein Na Tha Mahw-e-yas Kar Dega for youth and Student by Zafar Kaleem. Free Download Guman Tak Mein Na Tha Mahw-e-yas Kar Dega in PDF.