Nawa-e-haq Pe Hun Qatil Ka Dar Aziz Nahin

nawa-e-haq pe hun qatil ka Dar aziz nahin

paDe jihad to apna bhi sar aziz nahin

paDa hua hun sar-e-rahguzar to rahne de

teri gali se ziyaada to ghar aziz nahin

faqir-e-shahr ko lal-o-guhar se kya nisbat

mere aziz mujhe mal-o-zar aziz nahin

phalon ko luT ke le jao peD mat kaTo

shajar aziz hai mujh ko samar aziz nahin

wo log hum se alag apna rasta kar len

ki jin ko shahr-e-wafa ka safar aziz nahin

bahut aziz hain mujh ko mohabbaten lekin

mohabbaton mein siyasat 'zafar' aziz nahin

(1139) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Nawa-e-haq Pe Hun Qatil Ka Dar Aziz Nahin In English By Famous Poet Zafar Kaleem. Nawa-e-haq Pe Hun Qatil Ka Dar Aziz Nahin is written by Zafar Kaleem. Read famous Poem Nawa-e-haq Pe Hun Qatil Ka Dar Aziz Nahin for youth and Student by Zafar Kaleem. Free Download Nawa-e-haq Pe Hun Qatil Ka Dar Aziz Nahin in PDF.