Phula-phala Shajar To Samar Par Bhi Aaega

phula-phala shajar to samar par bhi aaega

lekin isi lihaz se patthar bhi aaega

haalat jab bhi shahr ke filmae jaenge

parde pe mere qatl ka manzar bhi aaega

be-chehra phir raha hun magar is yaqin ke sath

aaina mere qad ke barabar bhi aaega

kab tak koi chhupega adawat ke ghaar mein

dushman kabhi to samne khul kar bhi aaega

be-wajh ranjishon se dilon ko bachaiye

zehnon ka bhed-bhaw labon par bhi aaega

behtar hai dosto ki yahin Dal do paDaw

aage baDhe to shahr-e-sitamgar bhi aaega

ubhrenge pastiyon se bhi ek roz hum 'zafar'

unchaiyon pe apna muqaddar bhi aaega

(1156) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Phula-phala Shajar To Samar Par Bhi Aaega In English By Famous Poet Zafar Kaleem. Phula-phala Shajar To Samar Par Bhi Aaega is written by Zafar Kaleem. Read famous Poem Phula-phala Shajar To Samar Par Bhi Aaega for youth and Student by Zafar Kaleem. Free Download Phula-phala Shajar To Samar Par Bhi Aaega in PDF.