Sard Ruton Mein Logon Ko Garmi Pahunchane Wale Hath

sard ruton mein logon ko garmi pahunchane wale hath

barf ke jaise ThanDe kyun hain un banane wale hath

miTTi ke pyalon mein har din subh se apni sham karen

rang-birange phulon se gul-dan sajaane wale hath

aise the haalat ki chhuTa un ka mera sath magar

yaad bahut aate hain wo chuDi khankane wale hath

daftar se main ghar lauTun to puchhe mujh se tanhai

kab aaenge raaton ki taqdir jagane wale hath

suraj chand sitare jugnu jo chaho so nazr karen

nagri nagri aashaon ke dip jalane wale hath

jurm nahin hai sachchai to beja kyun matub hue

sachchai ka duniya mein parcham lahrane wale hath

dariya mein tufan hai lekin hai ab bhi ummid 'zafar'

par laga denge hum ko patwar chalane wale hath

(1111) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Sard Ruton Mein Logon Ko Garmi Pahunchane Wale Hath In English By Famous Poet Zafar Kaleem. Sard Ruton Mein Logon Ko Garmi Pahunchane Wale Hath is written by Zafar Kaleem. Read famous Poem Sard Ruton Mein Logon Ko Garmi Pahunchane Wale Hath for youth and Student by Zafar Kaleem. Free Download Sard Ruton Mein Logon Ko Garmi Pahunchane Wale Hath in PDF.