SimTun To Sifr Sa Lagun Failun To Ek Jahan Hun Main

simTun to sifr sa lagun failun to ek jahan hun main

jitni ki ye zamin hai utna hi aasman hun main

mere hi dam-qadam se hain qaem ye naghma-KHwaniyan

gulzar-e-hast-e-bud ka tuti-e-KHush-bayan hun main

mujh hi mein zam hain jaan le dariya tamam dahr ke

qatra na tu mujhe samajh ek bahr-e-be-karan hun main

nazan hai KHadd-o-KHal par apne bahut agar to sun

mujh mein sabhi ke aks hain aaina-e-jahan hun main

pahle bhi main qarib tha ab bhi tere qarib hun

mahsus kar mujhe tera ham-zad-e-jism-o-jaan hun main

phulon se pyar kar magar mujh ko na dil-figar kar

kanTa bhi hun agar to kya phulon ke darmiyan hun main

apnon mein main hi ghair hun ghairon se kya gila 'zafar'

apne hi ghar mein hun magar ghairon ke darmiyan hun main

(1178) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

SimTun To Sifr Sa Lagun Failun To Ek Jahan Hun Main In English By Famous Poet Zafar Kaleem. SimTun To Sifr Sa Lagun Failun To Ek Jahan Hun Main is written by Zafar Kaleem. Read famous Poem SimTun To Sifr Sa Lagun Failun To Ek Jahan Hun Main for youth and Student by Zafar Kaleem. Free Download SimTun To Sifr Sa Lagun Failun To Ek Jahan Hun Main in PDF.