Tab-e-raushan Ko Meri Kuchh Is Tarah Bhai Ghazal

tab-e-raushan ko meri kuchh is tarah bhai ghazal

jab bhi main tanha hua hun mujh ko yaad aai ghazal

jab bhi din Duba hui fikr-e-suKHan lahaq mujhe

sham hote hi mere saghar mein dar aai ghazal

yaad jab aae mujhe bichhDe hue sathi mere

kanpte honTon ki har silwaT pe lahrai ghazal

phul si aankhon mein angare liye phirta hun main

raat bhar sone kahan deti hai harjai ghazal

rang sochon ke bikhar jate hain ehsasat par

zehn mein shaer ke jab leti hai angDai ghazal

na-gahan logon ne dil mera dikhaya to mujhe

yun laga goya mere dukh banTne aai ghazal

mujh ko yaad aaya bahut wo na-murad-e-ishq 'mir'

dil ke taron par 'zafar' mutrib ne jab gai ghazal

(1158) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Tab-e-raushan Ko Meri Kuchh Is Tarah Bhai Ghazal In English By Famous Poet Zafar Kaleem. Tab-e-raushan Ko Meri Kuchh Is Tarah Bhai Ghazal is written by Zafar Kaleem. Read famous Poem Tab-e-raushan Ko Meri Kuchh Is Tarah Bhai Ghazal for youth and Student by Zafar Kaleem. Free Download Tab-e-raushan Ko Meri Kuchh Is Tarah Bhai Ghazal in PDF.