Mohabbat Ki Jis Ko KHumari Lage

mohabbat ki jis ko KHumari lage

biyahi bhi us ko kunwari lage

hui umr sattar bahattar magar

gharare mein goTa-kanari lage

haqiqat to ye hai ki baad-e-sumum

jawani mein baad-e-bahaari lage

jo baiTha hai bagula bhagat ki tarah

wahi hum ko asli shikari lage

jo khela halaku ne changez ne

wo khel ab bhi duniya mein jari lage

adab mein bhi jari KHarid o faroKHt

jise dekho wo byopari lage

siyasat mein aisi uchhal-kud hai

ki har ek neta madari lage

ye ghurbat ye faqon ka ek silsila

hamein to ye roza hazari lage

hamari raunat bhi kya chiz hai

ki yaron ko wo KHaksari lage

jo samjhe mohabbat ko ek chokleT

yaqinan hawas ka chusari lage

nibhaunga pakDa hai jab us ka hath

khaTara lage ya khaTari lage

lagen zahr hum ko 'zafar' waldain

magar apni dulhan dulari lage

(1011) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Mohabbat Ki Jis Ko KHumari Lage In English By Famous Poet Zafar Kamali. Mohabbat Ki Jis Ko KHumari Lage is written by Zafar Kamali. Read famous Poem Mohabbat Ki Jis Ko KHumari Lage for youth and Student by Zafar Kamali. Free Download Mohabbat Ki Jis Ko KHumari Lage in PDF.