Nam Se Gandhi Ke ChiDh Bair Aazadi Se Hai

nam se gandhi ke chiDh bair aazadi se hai

nafraton ki khad hain ulfat magar khadi se hai

aalimon ka ilm se wo rabt hai is daur mein

rabt dhobi ke gadhe ka jis tarah ladi se hai

KHwab-e-ghaflat se wahi nisbat hai meri qaum ko

aashiqon ka jo talluq dil ki barbaadi se hai

shauharon se bibayan laDti hain chhapa-mar jang

rabta un ka bhi kya kashmir ki wadi se hai

dekhna hai ab yahi deta hai kis ko kaun mat

samna janta ka phir kursi ke fariyaadi se hai

jaise sayyaadon ko sayyaadi se rahti hai gharaz

kaam ustadon ko waise apni ustadi se hai

bap dada ke hi nusKHe mein hai apni bhi shifa

hum ko derina talluq KHana-damadi se hai

sharm se hota nahin hai wasta be-sharm ko

jo muKHannas ho use kya wasta shadi se hai

doston ki dosti dekhi hai jab se ai 'zafar'

ishq virane se hai to wahshat aabaadi se hai

(1042) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Nam Se Gandhi Ke ChiDh Bair Aazadi Se Hai In English By Famous Poet Zafar Kamali. Nam Se Gandhi Ke ChiDh Bair Aazadi Se Hai is written by Zafar Kamali. Read famous Poem Nam Se Gandhi Ke ChiDh Bair Aazadi Se Hai for youth and Student by Zafar Kamali. Free Download Nam Se Gandhi Ke ChiDh Bair Aazadi Se Hai in PDF.