Nikah Kar Nahin Sakti Wo Mujh Faqir Ke Sath

nikah kar nahin sakti wo mujh faqir ke sath

rakhel ban ke rahegi kisi wazir ke sath

wahi suluk zamane ne mere sath kiya

kiya tha jaisa musharraf ne be-nazir ke sath

jo chahta hai lage par ishq ka beDa

dua salam rakhe husn ke safir ke sath

thapak thapak ke sulaya hai main ne mushkil se

na chheD-chhaD karo tum mere zamir ke sath

jo chahta hai ki ban jae wo baDa shaer

wo ja ke dosti ganThe kisi mudir ke sath

wafur-e-ishq ke jazbe se ho gai sarshaar

nikal paDi hai muridan jadid pir ke sath

dulhan ke sath na aaya jahez to ye laga

khilae jaise karaila bhi koi khir ke sath

wo pesh pesh tha jis dam chhiDi thi jang-e-wajud

sile ke waqt 'zafar' hai saf-e-aKHir ke sath

(1151) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Nikah Kar Nahin Sakti Wo Mujh Faqir Ke Sath In English By Famous Poet Zafar Kamali. Nikah Kar Nahin Sakti Wo Mujh Faqir Ke Sath is written by Zafar Kamali. Read famous Poem Nikah Kar Nahin Sakti Wo Mujh Faqir Ke Sath for youth and Student by Zafar Kamali. Free Download Nikah Kar Nahin Sakti Wo Mujh Faqir Ke Sath in PDF.