Kawwa Aur Koyal

kisi kawwe ne ek koyal se pucha

bata bahna ki hai ye majra kya

ghazab hai ye ki hum donon hain kale

KHuda ke fazl se hain aql wale

magar duniya kare kyun pyar tujh se

rahen chhoTe baDe bezar mujh se

tera hi nam hai sab ki zaban par

tera jadu to hai sare jahan par

jo shaer hain likhen tera tarana

bata tera hai kyun aashiq zamana

raha karti hai tu bachchon ke dil mein

magar ek main ki chuha jaise bil mein

jahan ja kar karun main kaen kaen

wahan se mar kar mujh ko bhagaen

nazar mein tir aur talwar ban kar

khaTakta hun dilon mein KHar ban kar

jise dekho use mujh se hai wahshat

sabhi ko nam se mere hai nafrat

kaha koyal ne kawwe se ki bhai

na kyun teri samajh mein baat aai

jise aati na ho shirin-bayani

kare kya wo dilon par hukmarani

hain sab us ke jo miThe bol bole

jo lab khol to ras kanon mein ghole

kahan main bolne mein chukti hun

magar jab bolti hun kukti hun

meri aawaz mein phulon ki narmi

teri aawaz mein shoalon ki garmi

zaban se main bani aaankhon ka tara

magar teri zaban ne tujh ko mara

tu jis din sikh lega KHush-kalami

milegi har jagah tujh ko salami

(1076) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Kawwa Aur Koyal In English By Famous Poet Zafar Kamali. Kawwa Aur Koyal is written by Zafar Kamali. Read famous Poem Kawwa Aur Koyal for youth and Student by Zafar Kamali. Free Download Kawwa Aur Koyal in PDF.