GuDiya Ki Shadi

munni boli pyari aasha

kitni bholi meri guDiya

achchha hai tera bhi guDDa

ho jae donon ka rishta

aasha boli gunjaish hai

lekin meri farmaish hai

hathi lungi ghoDe lungi

main kapDe sau joDe lungi

TV coolar aur ek motor

sone aur chandi ke zewar

dene honge moTe paise

milte hain seThon ko jaise

mehmanon ki KHatir achchhi

mano jab ye baat hai pakki

munni ka to ji ghabraya

aansu Tapke sar chakraya

phir wo boli jao jao

Dubegi kaghaz ki naw

lalach ka phal jis ne khaya

roya aaKHir wo pachhtaya

aasha boli tum ho pagal

nahaq hi hoti ho be-kal

baaten hain ye bahki bahki

mere dil mein lalach chhi-chhi

main ne tum ko yunhi chheDa

kyun Dube ulfat ka beDa

teri guDiya meri guDiya

mera guDDa tera guDDa

paise ki kaisi barbaadi

shadi hogi sidhi-sadi

lao jaldi sharbat lao

jao uchhlo nacho gao

(1286) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

GuDiya Ki Shadi In English By Famous Poet Zafar Kamali. GuDiya Ki Shadi is written by Zafar Kamali. Read famous Poem GuDiya Ki Shadi for youth and Student by Zafar Kamali. Free Download GuDiya Ki Shadi in PDF.