Aata Hai Yaad Mujhko

aata hai yaad mujh ko school ka zamana

wo doston ki sohbat wo qahqahe lagana

anwar aziz raju munnu ke sath mil kar

wo taliyan bajaana bandar ko munh chiDana

ro ro ke mangna wo ammi se roz paise

ja ja ke hoTalon mein barfi malai khana

paDhne ko jab bhi ghar par kahte the mere bhai

karta tha dard-e-sar ka akasr hi main bahana

milti nahin thi fursat din raat khelne se

yun raegan hua tha paDhne ka wo zamana

kaise kahun kisi se ab kya hai haal mera

khane ko mushkilon se milta hai ek dana

har ek qadam pe lagti hai Thokaron pe Thokar

ja kar rahun kahan par milta nahin Thikana

afsar bane hain is dam mere hi ham-jamaat

un se haya ke mare paDta hai munh chhupana

bachcho na tum samajhna hargiz ise kahani

ye hai tumhaare haq mein ibrat ka taziyana

hoga bhala tumhaara sun lo 'zafar' ki baaten

khelo zarur lekin paDhne mein dil lagana

(1242) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Aata Hai Yaad Mujhko In English By Famous Poet Zafar Kamali. Aata Hai Yaad Mujhko is written by Zafar Kamali. Read famous Poem Aata Hai Yaad Mujhko for youth and Student by Zafar Kamali. Free Download Aata Hai Yaad Mujhko in PDF.