BaDhe Kuchh Aur Kisi Iltija Se Kam Na Hue

baDhe kuchh aur kisi iltija se kam na hue

mere harif tumhaari dua se kam na hue

siyah raat mein dil ke muhib sannaTe

KHarosh-e-naghma-e-shola-nawa se kam na hue

watan ko chhoD ke hijrat bhi kis ko ras aai

masail un ke wahan bhi zara se kam na hue

faraaz-e-KHalq se apna lahu bhi barsaya

ghubar phir bhi dilon ki faza se kam na hue

buland aur lawen ho gain ummidon ki

diye wafa ke tumhaari jafa se kam na hue

bhanwar mein Dub ke tariKH ban gae goya

safine ishq ke sail-e-bala se kam na hue

hamare zehn bhaTakte rahe KHalaon mein

safar nasib ke zanjir-e-pa se kam na hue

sada bahaar KHayaban-e-arzu tha 'zafar'

lahu ke phul hamari qaba se kam na hue

(882) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

BaDhe Kuchh Aur Kisi Iltija Se Kam Na Hue In English By Famous Poet Zafar Moradabadi. BaDhe Kuchh Aur Kisi Iltija Se Kam Na Hue is written by Zafar Moradabadi. Read famous Poem BaDhe Kuchh Aur Kisi Iltija Se Kam Na Hue for youth and Student by Zafar Moradabadi. Free Download BaDhe Kuchh Aur Kisi Iltija Se Kam Na Hue in PDF.