Be-qanaat Qafile Hirs-o-hawa ODhe Hue

be-qanaat qafile hirs-o-hawa oDhe hue

manzilen bhi kyun na hon phir fasla oDhe hue

is qadar KHilqat magar hai maut ko fursat bahut

har bashar hai aaj KHud apni qaza oDhe hue

un ke baatin mein mila shaitan hi masnad-nashin

jo ba-zahir the bahut nam-e-KHuda oDhe hue

kya kare koi kisi se pursish-e-ahwal bhi

aaj sab hain apni apni karbala oDhe hue

kya KHabar kis moD par bikhre mata-e-ehtiyat

pattharon ke shahr mein hun aaina oDhe hue

sab dilase us ke jhuTe us ke sab wade fareb

kab tak aaKHir hum rahen sabr-o-raza oDhe hue

kyun tazabzub mein na hon is daur ke ahl-e-nazar

gumrahi hai aagahi ka falsafa oDhe hue

ungliyan majruh ho jaengi rahna dur dur

KHar bhi hain in dinon gul ki rida oDhe hue

Dhaal us ki ban gai hai sab balaon ke KHilaf

ghar se jo nikla buzurgon ki dua oDhe hue

baKHshishon se jis ki KHas o aam sab the faiz-yab

hum bhi the us bazm mein lekin ana oDhe hue

fasl-e-gul aai to virane bhi mahke har taraf

aaj KHud KHushbu ko thi baad-e-saba oDhe hue

ek zamin hi tang kya thi us se jab bichhDe 'zafar'

aasman bhi tha ghazab-parwar ghaTa oDhe hue

(1104) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Be-qanaat Qafile Hirs-o-hawa ODhe Hue In English By Famous Poet Zafar Moradabadi. Be-qanaat Qafile Hirs-o-hawa ODhe Hue is written by Zafar Moradabadi. Read famous Poem Be-qanaat Qafile Hirs-o-hawa ODhe Hue for youth and Student by Zafar Moradabadi. Free Download Be-qanaat Qafile Hirs-o-hawa ODhe Hue in PDF.