Har IntiKHab Yahan Mazi-o-aqab Ka Hai
har intiKHab yahan mazi-o-aqab ka hai
sawal mera nahin hai mere nasab ka hai
shuur-e-lauh-o-qalam se zuhur-e-mahfil tak
har ek be-adabi par libas adab ka hai
na koi dad na tahsin sirf KHamoshi
mere suKHan pe tera tabsira ghazab ka hai
ho ek fard to ho fard-e-jurm bhi aayad
sitamgari to yahan karobar sab ka hai
uga nahin koi suraj mere muqaddar ka
dinon pe jaise musallat itab shab ka hai
tamam zahmaten mere gunah ke sae
tamam rahaten inam mere rab ka hai
zafar ghazal hai ki zaKHmon ki hashiya-bandi
na KHal-o-KHat ka koi tazkira na lab ka hai
(1070) Peoples Rate This