Nigah-e-husn-e-mujassam Ada Ko Chhute Hi

nigah-e-husn-e-mujassam ada ko chhute hi

ganwae hosh bhi us dilruba ko chhute hi

tamam phul mahakne lage hain khil khil kar

chaman mein shoKHi-e-baad-e-saba ko chhute hi

masham-e-jaan mein ajab hai surur ka aalam

tasawwuraat mein zulf-e-dota ko chhute hi

nigah-e-shauq ki sab ungliyan sulag uTThin

gulab jism ki rangin qaba ko chhute hi

nazar ko hech nazar aae sab hasin manzar

bas ek shua-e-ruKH-e-jaan-faza ko chhute hi

jo aansuon se hui ba-wazu akele mein

dar-e-qubul khula us dua ko chhute hi

nahain shiddat-e-ehsas ke ujale mein

samaaten mere soz-e-nawa ko chhute hi

hisar-e-zabt jo TuTa to aankh bhar aai

dayar-e-ghair mein ek aashna ko chhute hi

lahu mein Dub ke kanTe bane charagh 'zafar'

rah-e-wafa mein hum aashufta-pa ko chhute hi

(1324) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Nigah-e-husn-e-mujassam Ada Ko Chhute Hi In English By Famous Poet Zafar Moradabadi. Nigah-e-husn-e-mujassam Ada Ko Chhute Hi is written by Zafar Moradabadi. Read famous Poem Nigah-e-husn-e-mujassam Ada Ko Chhute Hi for youth and Student by Zafar Moradabadi. Free Download Nigah-e-husn-e-mujassam Ada Ko Chhute Hi in PDF.