Naqab Usne RuKH-e-husn-e-zar Pe Dal Diya

naqab us ne ruKH-e-husn-e-zar pe Dal diya

ki jaise shab ka andhera sahar pe Dal diya

samaaten huin pur-shauq hadson ke liye

zara sa rang-e-bayan jab KHabar pe Dal diya

tamam us ne mahasin mein aib DhunD liye

jo bar-e-naqd-o-nazar dida-war pe Dal diya

ab is ko nafa kahin ya KHasara-e-ulfat

jo dagh us ne dil-e-mo'tabar pe Dal diya

qarib o dur yahan ham-safar nahin koi

teri talab ne ye kis rahguzar pe Dal diya

husul-e-manzil-e-jaanan se hath dho lenge

kuchh aur bojh jo pa-e-safar pe Dal diya

jo ham-azab tha us ki hi chhanw mein aa kar

KHud apni dhup ka lashkar shajar pe Dal diya

bhaTak raha tha jo asrar-e-fan ki wadi mein

uruj de ke faraaz-e-hunar pe Dal diya

be-e'tidal the KHud un ke KHatt-o-KHal 'zafar'

har ittiham magar shishagar pe Dal diya

(1066) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Naqab Usne RuKH-e-husn-e-zar Pe Dal Diya In English By Famous Poet Zafar Moradabadi. Naqab Usne RuKH-e-husn-e-zar Pe Dal Diya is written by Zafar Moradabadi. Read famous Poem Naqab Usne RuKH-e-husn-e-zar Pe Dal Diya for youth and Student by Zafar Moradabadi. Free Download Naqab Usne RuKH-e-husn-e-zar Pe Dal Diya in PDF.